Ab Hamzad or jin ki quwaton or qudrat me bhi bahot farq hain maslan, jinaat ki raftar hamzad se intihai kam hoti hai Allah ne unhain parwaz ki taqat ataa ki hai magar Hamzad khayal ki raftar se safar karta hai yeni waqt or fasla uskay agay be meni hain. ek or farq hamzad or jinaat me ye hai ke jinaat ko Allah ne bahot lambi lambi umrain ataa ki magar un keliy mot or bimari bhi beda ki. Hamzad in chizon se mubra hai.
jinaat ki shadian hoti hain wo aulad peda karty hain jabke hamzad kisi tarah se bhi milap nahin kar sakta or ye rooh or maada ka ek buniadi farq hai. or ek bara or ehm farq ye he ke jin bas kuch khas janwaron ka roop dhar saktay hain jiski unhain qudrat hasil he maslan shair, kuta, bakri waghera or hamzad kisi bhi chiz ka roop le sakta hai lekin farq ye he ka hamzad ka roop mehz basri hota he yeni ke ankhon ka dhoka jabke jin infact usi chiz me transform ho jaty hain or koi insan unhain choo bhi sakta hai, hata ke jin or insan ka nikah bhi hota hai or even ke agay nasal bhi chalti he.
Ap (S.A.W.W) ne esay nikah ko makrooh qarar dia hai or imam ibn e Timia ka bhi yahi qol hai. yeni mard jin kisi insan orat se ya ya koi insan mard kisi jin zadi se nikah kar sakta he, isi liy ap ko pari hazir karnay ke amliat nazar atay hain or khas tor pe hinduon ke amliat jantar mantar ke jin me jo pari waghera zahir hoti he wo nikah ki shart aid karti hai. yeni jin rooh nahin hain wo maada se takhliq huy jabke hamzad ek rooh hai jisay explain karna bahot mushkil hai.
jinnaat ka kisi or chiz me transform ho jana bilkul esay hi he jesy Joule Thomson Effect me gas transforms into liquid under pressure. aam istimal me any wala lighter isi joule thomson effect ki practical misal he. jinaat hameha hamzad se ulajhnay se katraty hain qk hamzad keliy mot nahin or wo akela kai jinon ki mot ka bais ban jata hai tabhi amil e hamzad ko amil e jinaat pe foqiat o fazilat hasil hoti hai.
jin baz oqat amil ko jhooti khabar bhi day jaty hain jabke hamzad esa nahin karta. jin ghulami me anay ke bad is ghulami ko sakht na pasand karty hain khas tor pe jab unhain talab kia jata he qk unki apni zindgi he apna khandan bivi bachay khana pina shadi biyah or ye sab kuch chor ke unhain hazir hona parta hai jabke Hamzad hamesh insan ke sath mojood hota hai jab amil pukarta he foran aan mojood hota hai. or jab amil usay kehta he k ab tum chalay jao tab bhi wo bas nazron se ojhal ho jata hai jabke mojood wahin rehta hai.
Amil or hamzad ke darmian amal ke waqt ek muqbla ki fiza hoti hai, hamzad cahhta he ke amil ka amal poora na hony pay or amil ki koshish hoti he ke amal ko kamyabi se mukammal kar le, yad rakhiy insan hamzad se afzal he or ziada qawwi hai, hamzad insan se kamzor he tabhi to hamzad amil ke amal ki quwat se zahir hony pe majboor hota he agar woh qawwi hota to samny na ata, amal ki quwat se woh majbbor hota he ghulami pe,, isliy jab bhi hamzad samny ay us se khof na khaya jay. har shakhs ka hamzad ek jesa hota he uski fitrat amal ke mutabiq tashkil pati hai, baz amliat me hamzad dara ke khushi mehsoos karta hai, baz amliat mai tang kar ke khushi mehsoos karta hai or baz me taklif day ke ya bimar kar ke, yad rakhiy amal ke doran amil ko hamzad nuqsan nahi day sakta quion ke amil us waqt ek baht ba quwat hasti hoti hai.
Magar sirf us waqt tak jab tak ap amal chor ke uth nahi jaty, agar ap khof kha ke amal chor kar uth jaty hain to ap ek am admi ho jaty hain or apka amal khatam ho jata he, ap hisar karain ya na karain doran e amal hamzad apka kuch bhi nahi bigaar sakta qk agar us me ye quwat hoti to ap amal khatm karny ke bad jab hisar se bahr aty tab bhi woh nuqsan panhchta, magar haqiqat ye he ke amal ke pehly din se akhir din tak hamzad apky amal ke zer e assar hota he or usy ap ke hisar se gharz nahi hoti, hisaar mehz itmin e qalb keliy hai.
Hamzad ke amal me mot bhi waqia ho sakti hai, maslan agar koi admi khof kha ke pagal ho jay ya dil ki dharkan ruk jay, jesy kahawat he ke insan sanp ke zehr se nahi uskay khof se marta hai wesay hi amal e hamzad me logo ko hamzad nahi khof mar deta he, or mai batata chaloon ke jitny bhi makhsoos ayaat ke amliat hain un me agar ap khof kha ke hisar chor dety hain to hamzad apky amal ki quwat se azd hoty hi aksar apko nuqsan deta hai, koi bhi zehni ya jismani nuqsan, is qism ke amliat me amal ke asar ki waja se hamzad ki ye fitrat ho jati he tabhi is qism ke amliat se maskhar kia gaya hamzad tabahi or barbaadi ke kaam khushi se sar anjam deta hai.
Koi bhi amal ho jab tak ap amal me khof ya dhoka kha ke uth na jain apka koi kuch nahi bigaar sakta, magar khof kha ke amal chorny ki soorat me hisar bhi apko bacha nahi sakta. Doran e amal hisar apki itni hifazat nahi karta jitni ke apka amal quion ke hisar to sirf doran e amal tak hota he bad ke oqat me koi nuqsan kiu nahi panhchta? uski waja ap ky amal k quwat hai jis ke agay hamzad bebas ho ke ghulami pe majboor hota hai. kabhi or kisi soorat me bhi hamzad jism e kasif ko halak nahi karta lihaza amal e hamzad ke karny se pehly dhyan rakha jay ke ap kis qism ka amal kar rahy hain qurani amliat sab se mehfooz hain jabke sifli or shetani amliat me nuqsan ho skta hai.
Ap badni hisar ko kabhi bhi circle waly hisar se kam samjhny ki ghalti na karain quion ke hisar jo bhi ho hifazat us hisar ke kalmat se hoti hai mehz circle laga leny se nahin, sirf Ayat al Kursi 11 bar parh leny se koi chiz bhi apko nuqsan nahi day sakti, circle waly hisaar ka mahez ye faida he ke jo bhi tamasha hota hai woh hisar se bahar hota hai, or badni hisar circle waly hisar se isliy behtar he ke agar ap khof kha ke amal chor bhi dain to ap hisar me hi hoty hain lekin circle laga ke ap ye tay kar lety hain ke mera hisar is circle tak hai me is se bahar nahi jaun ga or jab jaty hain to nuqsan bhi uthaty hain, donon ke fawaid byan kar diy jis sahb ko jo acha lagy woh kary magar ek bar phir clear kar doon ke circle nahi hifazat karta balke ayat e qurani maslan ayat al kursi ke parh leny se Allah ke frishty hifazat karty hain or unky agay koi mawarai quwat nahi theher sakti circle laga ke ap khood apny hisaar ko mehdood kar lety hain.
Amel Hamzad (Noori)
TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS
Ye amal andheray me kia jata hai, rat ke waqt kisi tanha kamra me karna hoga, qibla rukh beth kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli rakhni hon gi or khuli ankhon se andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay mojood hai. bawuzoo ho kar shuroo karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib kia jay or sirf amal ke waqt pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e amal khusboo ka istimal rahay kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt hamzad ka koi bhi bakhoor sulgain.
Parhez sirf or sirf sharai mamnooat or makroohat se hain, jo marzi khain piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram he or shariyat ka halal halal hai. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se parhez karain koi parhez e jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana 2100 bar wird karain magar awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen andhairy me markooz rakhen ke hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain amal ye he.
یا فلاں اُحْضُرُ اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
Allah ki bahot barri nemat hai jim e latif, or isay panay keliy jitni bhi mehnat ki jay bahot kam hai, aj insan ye chahta he ke hamzad jesi quwat bhi bas chand rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil hai quion ke me ne tafsilan byan kia ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain or un me jo khatrat chupay hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e hamzad qurani amal se hi ki jay. aik to us me hamzad hi hazir hota hai dosra us me kuch gunah nahin or teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke nuqsan ka matliqan khadsha nahin.
Ab baata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye amal kis qadar mooasar hai, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye bakhoobi janty hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty hain or ye bhi nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo koi muqarib muakil hai ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi hai or muakil bhi rooh ul amin, yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se bhi hujam me barh kar hai woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke pas bheja Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa band e shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko kamyab farmay Amin.
Muje 4din howe hai ab 17 din bake hai Kya muje ye amal kamyab ho ga.main jammu&kashmir se
ReplyDelete