Wednesday 11 December 2013

Hamzad Ka Amel Karny Ke 2 Tarakeeb

TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS

Ye amal andheray me kia jata he, rat ke waqt kisi tanha kamra me karna hoga, qibla rukh beth kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli rakhni hon gi or khuli ankhon se andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay mojood he. bawuzoo ho kar shuroo karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib kia jay or sirf amal ke waqt pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e amal khusboo ka istimal rahay kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt hamzad ka koi bhi bakhoor sulgain. parhez sirf or sirf sharai mamnooat or makroohat se he, jo marzi khain piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram he or shariyat ka halal halal he. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se parhez karain koi parhez e jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana 2100 bar wird karain magar awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen andhairy me markooz rakhen ke hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain amal ye he.
یا فلاں اُحْضُرُ اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
falaan ki jaga apna nam lagaya jay, hamzad 21 yom me hazir hoga agar Allah na karay hamzad hazir na ho to doobara or seh baara bhi karain hargiz hargiz nakam nahin hon gay, istqlal shart he, mashoor badshah temoor se kisi ne poocha ke tumhari kamyabi ka raz kia he to us ne kaha ke me ne ek ghaar me ye chiyoonti se sikha tha woh diwar pe charhti or gir jati bar bar nakam hoti rahi magar us ne himat na hari or akhir kaar kamyab ho gai, taskhir e hamzad ek bahot bari kamyabi he, Allah ki bahot barri nemat he jim e latif, or isay panay keliy jitni bhi mehnat ki jay bahot kam he, aj insan ye chahta he ke hamzad jesi quwat bhi bas chand rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil he qk me ne tafsilan byan kia ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain or un me jo khatrat chupay hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e hamzad qurani amal se hi ki jay qk ek to us me hamzad hi hazir hota he dusra us me kuch gunah nahin or teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke nuqsan ka matliqan khadsha nahin. Ab aata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye amal kis qadar mooasar he, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye bakhoobi janty hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty hain or ye bhi nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo koi muqarib muakil he ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi he or muakil bhi rooh ul amin, yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se bhi hujam me barh kar he woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke pas bheja Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa band e shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko kamyab farmay  Amin.



TASKHEER E HAMZAD BATNI

Sab se ziyada readers ne batni taskhir e hamzad pe likhnay ko kaha, is zaman me sirf do amal pesh kiy jain ge, dono hi 100% authentic hain, ek asan he ek mushkil, Is post me asan amal pesh kia ja raha he next post me Insha Allah Qurani amal pesh kia jay ga batni taskhee keliy. amal ye he,
is amal ke karny ke muta,adid tariqay mojood hain jo mery nazdik mustanad hain woh pesh karta hoon.
1)   bad az namaz e isha pas e pusht chragh jala ke say par nazar jama kar 3125 martaba apna nam parha jay, name ke pichay kalma  ya lagay jay jesay agar kisi ka name saleem he to "YA SALEEM" parhna hoga, mdat 41 yom ho gi. 41 vain yom jo chiz bhi samny nazar ay ya kuch bhi nazar na ay ap ne kehna he tum samny nahin aty na ao magar har waqt mery sath raho or jo me kahoon usay poora karo. magar yahan ek bat yad rakhen ke is amal me ye bhi mumkin he ke hamzad khood samny aa jay tab ap sharait tay kar lain jab wo kalam karay magar tadaad or mudat dono poori hona lazim he. agar hamzad samny nahi ata to batni taskheer ho jay gi. 41 din jo bhi tamasha ho sab se poshida rakha jay. ek bar phir yad dihani kara doon ke agar doran e amal kisi bhi din apko hamzad nazar ay to samjh len ke ye amal apko zahiri taskhir tak le ja raha he phir bas ye pukhta yaqin rakh len ke ab ye kalam karay ga or jab tak kalam na karay amal jari rakhain.
2) namaz e isha ke bad tanha kamra me charagh jala kar saya ki gardan pe nazar jama kar apny name ke pichay kalma ya laga kar apny name ke adad (Abjid e qamri se liy jain) ke mutabiq parha jay is amal me mudat ka ta,ayan nahi he lekin 6mah tak lag sakty hain or is me hamesha zahiri taskhir hoti he ye batni keliy nahin, jis din bhi hamzad kalam karay woh amal ka akhri din hoga chahy pehlay din hi samny a ke kalam kary ap sharait tay kar lain, magar tadad poori kar ke hi kalam karna he.
HIDAYAT:
ye hidayat ooper darj dono tariqon pe lagoo hon gi.
·         khany pinay me kisi qism ka parhez nahin hoga jo marzi khain, sirf badboo dar or manashi ashiya ka parhaiz hoga.
·         parhez bas itna he ke jo bhi khain pehly hamzad ko uska hisa dain, yeni pehly hamzad ko dena he phir khood khana he, masalan ek luqma zamin pe daal diya or agar tanha bethay hain to zaban se kahen ke ay hamzad ye tumhara hisa he isay kha lo or mery pas aa jao, or agar tanha nahi bethay to zaban se to kuch na kahen magar ek luqma gira dain ye khyal karty huy ke ye hamzad ka hisa he.
·         har khany ki chiz me se usay hisa dena hoga pani piny se pehly bhi ek ghoont zameen pe dalna hoga.
·         amal chand ki ibtidai tarikhon me kia jay.
·         chagh or oil ya ghee ki koi khas shart nahi apni marzi ka jo bhi lay len or bas ye zaroori he ke shuroo se akhir tak charagh ek hi rahy or oil bhi ek hi qism ka maslan pehly din agar sarson ka tail chragh me daala tha to phir sarson ka tail hi dalna hoga koi or nahi daal sakty.
·         or sab se ehm bat agar hamzad ko hisa dena bhool gay to amal barbad ho jay ga, isliy is amal ko sirf woh hazrat karain jinki yaddasht achi ho or unhain yaqin ho ke un se ye ghalti nahin ho g.
·         is amal me kamra me kisi or ke dakhil na hony ki shart nahi he, doran e amal ytanhai zaroori he.
·         hamzad ko khany me hisa bhi sirf amal ki muddat tak dena he.
3) rat ke waqt pas e pusht charagh jala kar rozana 3125 martaba apnay name ke pichay kalma "YA" laga ke say ki gardan pe nazar jamma kar pooray 41 yom tak parhez e jilali o jamli samet parna hoga, hamzad ko khanay me hisa deny ki zaroorat nahin ho gi or agar dain ge to assar or barh jay ga 41 yom me zahri ya batni taskhir me se ek lazmi hasil ho jay gi amal chand ki pehli das tarikhon me karna hoga,
HISAAR:
upar darj tino tariqon me sirf or sirf badni hisar kia jay bilkul bezarar amal hain.

 

No comments:

Post a Comment