Wednesday 11 December 2013

Learn Aamliat Online

Allah Tallah ne apni alohiat ka izhar kerny ke liy zameen, asman banay. suraj chand sitary aur burj bana ker sab ko kam main laga diya pir beshumar makhlokat paida ke jin main insan sab se afzal hai kioun ke us main sochne aur samjne ke slahiat mijood hai is liy insan ko Ashraf-ul-makhlokat ka darja dia gia hai.





Roz-e-azal se dunya main Rehmani aur Shytani taqat ka wajood qyam hai. Rehmani taqat se murad zat-e-bari tallah aur Quran-e-kareem hai jab-ke Shytani taqat se murad Iblees aur us ke pairo-kar hain. Chand hamri dunya ke nizam ka hukmaran hai, Soraj ke taseer garam aur Chand ke taseer sarad hai. Chand ke 28 mazilain hain ise tarha Quran kareem 28 haroof per muhstamil hai.

Her haruf ke zere-asar Alwai aur Sifli moakil kam karty hain. ise tarh chand ke har manzil, har roz aur har burj per be mokli kam kerny per mamoor hain. In sab ka sardar "Matatiroon" hai ju sab mokilon ka sardar hai. Jab amel her roz waqat mukara per pabandi ke sath amel perta hai tu amel main taseer paida hoti hai. Amel ke makhsoos tadad khatum honay per " Matatiroon" us amel ke pechay kam kernay walay mokil ko hukam daita hai ke wo amel ya jaduger ke pass jay aur us ka kam kary. 








Amliat ka ilam bohat gehra samundar hai jis ke teh tak pohchna na-mumkin hai. Amel ya Jadugar waqat, buraj, adad ka hisab rakhtay howay apnay matlooba mokil se rabita paida kerta hai aur us se apnay kamon main madad talab kerta hai. Dunya ka qanoon hai her kam sekhnay ke liy ustad ke zaraoorat perti hai aur kuch qwaid-wazabit per amel krna zaroori hota hai. Jab tak kamil ustad se rehnumai na le jay aur dosri shirayt per amel na kia jay kamyabi ke tawaku rakhna fazzol hai. Amliat main qadam rakhnay se pehlay in asoolon per amel krna aur in ka paband hona boht zaroori hai. 
  • Koi be amal karne se pehly kisi kamil ustad se ijazat lain aur harfu tahaji ke zakat zaroor dain her harf ke zakat chand ke manzil aur waqat ke mutabik 4444 martbah perh kar de jati hai. 28 dino main 28 haruf ke zakat nikalin. is se amal jaldi kamyab hota hai aur rajat ke khof nahi hota
  • namaz ba jamat perhna bohat zaroore hai is ka khas khail rakhin
  • Amal ke dino main khana kam kahain, bat cheet aur logon se milna kam kar dain, tanhai ikhtyar karin, bawuzu rahin aur zada waqat ibadat main guzarin 
  • jo be amal kareen to khana un cheezo ka chorde jesa ghost, machli, anda kisi janwer ka, payaz or lehsan se parhez kareen in cheezo ke perhaz karna se amel main asar peda hota hai
  • Amel shuru krnay se akhir tak Waqat aur jaga ka khass khyal rakhin ye boht zaroori hai kioun ke in ko badlnay se amel ke taseer khtum ho jati hai aur amel kamyab nahi hota
  • Amel perhnay wali jaga per kisi ke amadoraft na ho aur jaga pak saff ho
  • Har amel chand ke 3 se 10 tarikh tak shuru kia jata hai behter hai in dino main ju Jumyrat ( Wednesday ) ay wo Nochandi ho ge us din se amel shuru karin
  • Roz ghusal karen khusboo zaroor lagahe khusboo be etar lagahe perfum nai kion ke us main alcohal hoti hai
  • jab amal perhny bethain to hisar karlen  yeah rajat aur nuqsan se bachata hai
  • jo isam ya dua paren agar sir isam  pehla haruf atishe ho to amel jaldi pora ho ga
  • jab kisi amal ki zakat de cukain tu us amal ko daily 3 , 4 ya 7 dafa roz parha kareen ta-ke amal kabo main rahe
  • jab amal start kare tu amal pora hony tak hambistare na kareen
  • Her amel ko shuru kerny se pehlay ijazat lain warna rajat ho sakti hai jis main pagal pan ya jan se jane ka khatra hai
  • amel ka ghar main se jo orate napak ho jae us ke hath ke koi be cheez paki howi na kahin, apne liy khana khud banain
  • nasha karne wali cheezon shrab, sigrat, charas, afim wagyra se door rahe
  • koi be amal karen jo amal para jae us main agar kamyabi nazar na aati to us ko chore nai yani tarak na kareen ka yeah amal kam nahi kar raha
  • amel jab amal kare to bakhorate jalay her setare ka alag bakhore hoti hai bakhore mean khusboo
  • amel ko setaro ki saat deakh aur rojal gayab deakh kar amal karna chahey kioun ke ager yeah samnay ho ga to amel ko nooksan ho ga
  • amel perhtay waqat darna nahi kioun ke doran amal kuch khuf delane wala wakiyat nazar aain ge laykin ki kohi asliyat nahi ho ge, ye waqiat sirf amel ko amal se roqny ke kosish ho ge
  • amal karte waqat jo be kafiat mehsoos ho ya nazar ay wo sirf apne ustad ko batain kisi aur ko batany se amel hath se nikal jae ga aur rajat hone ka imkan hai
  • Ager in sab shrayat ke pabandi ke sath amel karin tu kamyabi 100% yakini ho ge.
PERHAZ JALALI: Amal ke dino main gosht, anda, mashli, shahad kahana chor dain. leather ke joty na pehnain, bal aur nakhun na katin, kisi aur ke bistar per mat soin amel pora honay tak zameen per soin, jism se khon na niklay, kisi janwar per sawar na hon, amal ke doran sila howa kapra na pehnain, amal ke dino main habistar na hon, napak aurat je hath ka bana khna na kahin, khana khud banain aur apnay bartan alg rakhin.

PERHAZ WAJAMALI: Amal ke dino main gosht, anda, mashli, shahad kahana chor dain,amal ke doran sila howa kapra na pehnain, kisi aur ke bistar per mat soin amel pora honay tak zameen per soin, amal ke dino main habistar na hon.

BAKHURAT: Amliyat main bakhur bohat ahmeat rakhti hain. bakhur se murad kushbu hai bakhur se amel main boht taseer paida hoti hai aur amel jaldi kamyab hota hai.baz amel to bakhur ke bagir kamyab be nahi hotay. kuch bakhur aisay hain jin ko sirf jalay se rohani makhlok zahir ho jati hai. Sandal, Kafur, Owd, Anbar, Zafran, Mushak, Loban sab chezon ke hamwazan mila ker safoof bana lain ye bakhur tamam amliat ke liy kam de ga.

HARUF TAHAJI QAMRI & SHAMSI:


HISAR KARNAY KA TAREKA:

Hisar ke maani kundli marna ke hain. Har amel shuru krany se pehlay hisar kia jata hai ta-ke koi rohani cheez nuqsan na pohca saky. Hisar rajat se bachata hai aur amel khof aur nuqsan se mehfooz ho jata hai. Hisar krany ke beshumar tarekay hain. Amel krany se pehaly Durood Sharif 11 bar, Surah Fatihah 1 bar, Aytal Kursi 1 bar, Surah Falak, Surah Naas, Surah Falak, Surah Alkafiron 3, 3 bar, Durood Sharif 11 bar perh ker Shahadat ke unglai per dam ker ke amal karnay ke jaga zameen per apny gird daira bana lain. yad rahy daira banay se pora honay tak kisi jaga se ungli uthnay na paay. Ager kahin se jaga khali reh gai tu rohani chez andar aa ker nuqsan pohcha sakti hai. Hisar krany ke bad amel pori tarha mehfooz ho ker amal perh sakta hai. Koi rohani cheez andar dakhil nai ho saky ge. Har roz amal perhnay ke waqat pir se hisar karin. Doran amal ager hisar wali jaga chor dia jay tu hisar nakis ho jay ga aur nuqsan ho sakta hai.

HARUF TAHJI KE BURAJ AUR KHASIAT:


HARUF TAHAJI KE MOAKIL AUR TASEER:

CHAND KE MAZILAIN:

ISAM ILLAHI KE KHASIAT:

SIMAT AUR BURJOON KE MOKILAT:

HARUF TAHAJI KE ZAKAT NIKALNA:

Amel ke sab se zaroori hai ke haruf tahaji ke zakat de. Haruf tahaji 28 hain aur har harf per mokil hukmran hai. chand ke 28 manzilain hain. Har manzil ke hisab se harf ke zakat de jati hai.Pehlay us harf ke zakat nikalnay ke neat karin. Amel apna hisar kary aur chand jis manzil per ho us harf ke zakat de. Durood Sharif 11 bar, haruf ke zakat 4444 bar, pir Durood Sharif 11 bar parain.


NAQSHA SAAT SHAB-O-ROZ:


No comments:

Post a Comment