Wednesday 11 December 2013

Hazrat Adam aur Iblees



Hazrat Adam (as) ko banane ke bad Allah Tallah ne frishtoon ko hukam dia ke wo Adam ko sajdha karin tu firshtaon ne Adam ko sajdha kia laykin Iblees ne inkal kia aur kaha ke Adam ko tu ne matti se paida kia hai aur muje aag se aur kaha kaha ke main is se afzal hon aur sajdha karne se inkar kar dia.

Allah Tallah ne Hazrat Adam (as) ko janat main dakhil farma dia. aur ahad lia ke shajar mamnowa ke kareeb mat jana. Hazrat Adam (as) janat main tanha thay. Allah ne ap ke rafaqut ke liy baain pasli se Hazrat Hawa ko paida kia . Insanu ka pehla jora janat main aaish se rehnay laga.

Adam ko sajdha na karne per Allah ne janat se nikal dia mager is ko asman per rehnay ke ijazat thi. Iblees aik zamana main frishton ka ustad tha wo arsh ke nichay khas member per noor ke janday talay baith ker frishton ko dars dia karta tha. jab usay janat se nikal dia gia tu us ne adam se dushmani mol li aur badla laine ke than le.kioun ke wo janat main nahi ja sakta tha tu us ne sanp se janat main dakhlay ke liy madad talb ke. Sanap razamand ho gia is tarha Ibless janat main dakhil ho gia.

Janat main pohch kar Iblees ronay laga tu Adam ne rone ke waja pochi tu Iblees ne kaha ke tumara janat main rehna chand roz ka inam hai tumain janat main rehna be nai hai aur aik roz mot ay ge aur tamam aizaz tum se chen jain gay.

Shytaan ne kaha ye ju samany darkaht kahara hai jis ka phal kahnay se tumain roka gia hai ager tum is ka phal kha lo tu mot se bach jawo ge. Hazrat Adam (as) ne kaha main Allah ke hukam ke nafarmani nai kar sakta. Shytaan ne kaha is darkaht ka phal kahane se rokane ke waja ye hai ke Allah ko tumra janat main rehna manzoor nai. Is darkaht ka phal kahane se insan hamysha frishtion ke tarha zinda rehta hai.

Hazrat Adam (as) ne shytaan ke bat na mani mager Hazrat Hawa shytaan ke baton main aa gai. Shytaan ne gandum ka aik phal 2 tukray kar ker Hawa ko de ker kaha ke adha tum kha lo aur adha Adam ko de daina. Pehlay phal Hawa ne kahaya aur pir Adam ko dia. phal kahay thori dare hoi thi ke un ke jisam se janat ke libaas utar gay aur wo nangay ho gay.unhain majboran Injeer ke paton se satar chupana para.

Allah Tallah ne Hazrat Adam (as) aur Hazrat Hawa ko zameen per utar dia kioun ke unhon ne Allah ke hukam ke nafarmani ke thi aur mujrim karar pay. Allah ne dono ko mukhtlif kisu ke takleefon main mubtia kar dia.

1: Adam ke jisam janat main nihayt safid aur chamkdar tha dunya main aane ke bad is main kami aur tarekhi paida ho gai

2: Adam aur Hawa ke darmyan 200 sal tak judi rahi

3: Hazrat Adam (as) sazawar qarar pay

4: Shytaan ko in ke olad per musalit kar dia gia

5: Dunya bani adam ke liy jail qarar de gai

Hazrat Hawa ko ke liy ju saza tajweez hoi 


1: Aurtoon ke pait aur sharmgah ko ( khon haiz-nafas) ka muqam bana diya gia

2: Auraton ko 9 mahinay tak hamal ka wazan uthana para 

3: Paidaish ke wazat janlaywa takleef musalit kar de gai

4: Shohar ke marne ke bad iddut lazmi qarar dey de gai 

5: Aurton ko un ke shoahr ke matehat tabih kar dia gia 

6: Talaq daine ke hak se aurat mehrom kar de gai

7: do aurton ke gawahi 1 mard ke barabar kar de gai

 8: Aurat ko maal mairas main bohat kam hisa dia gia

9: aurtain nakis ul akal qarar dey de gain

10: Aurton ke salam karne ke mardon ko mumaniat kar de gai

11: Mardon ke mukabilay aurton ke deen be nakis qarar paya gia

12: Aurat nabuwat se mehrom qarar payi

13: Aurton ka hukam gair nafiz qarar paya gia.



No comments:

Post a Comment