Wednesday 11 December 2013

Taskheer-e-Hamzad

HAMZAD KIA HAI? Hamzad ke lafzi maani sath paida shuda ke hain. Her ze-ruh ke do jisam hotay hain. aik jisam latif ( Rohani jisam ) dosra jisam kaseef ( Madi Jisam ). Rohani jisam ke paidaish madi jisam ke sath hi hoti hai mager madi jisam fana honay ke bad be rohani jisam zinda rehta hai. Madi jisam wo hai jisy zahri aankhon se dykha ja sakta hai lykin rohani jisam ko rohani aankh se hi dykha ja sakta hai. Rohani jisam ka dosra naam hamzad hai.






Hamzad ke baray main kuch amleen kehtay hain ke ye insan ke sath paida hota hai aur sath he mar jata hai.kuch amelon ka khyal hai ke hamzad isnan ke sath paida hota hai per marta nahi aur insan ke marnay ke bad azad ho jata hai. her mazab aur qoom main hamzad ka tasawar mojood hai aur amel sadion se hamzad ko taskheer ker ke kam laitay ay hain. Hindu mazhab main be hamzad ka tasawar mojood hai jab ke christion  mazhab ke log be hamzad ke wajood se inkar nai kartay. Islam main be hamzad ka tasawar mojood hai. is bat ke daleel quran kareem is ayat mubarka se milti hai.

26 Surah Furqan Verse no: 45,
Have you not considered your Lord - how He extends the shadow, and if He willed, He could have made it stationary? Then We made the sun for it an indication.

HAMZAD KIA KER SAKTA HAI:
  • Jitni dare aankh japaknay main lagti hai itni dare main hamzad parwaz kar ke dunya ke aik siray se dosray siray per phnch jata hai
    Phar ke bulandi aur samandar ke gihrarion tak ke khaber le aata hai
  • Bari bari wazni chez aur insan tak ko hazaroon melon se utha lata hai
  • Aisay masyal jis ko insani akal hal karnay se qasir hai bari asani se amel ko zehan nasheen kara daita hai
  • Lailaj aur mohlak bemarion ke nuskhay tajweez kar daita hai
  • Gumshuda ko talash kar daita hai aur be-mosmi phal la daita hai
  • Pathar aur lohay se dewaroon se guzar sakta hai
  • Kisi be insan, jangali janwar ko moot ke gaat utar sakta hai.
HAMZAD KE AQSAM: Hamzad ko her wo mard aurat taskheer kar sakta hai ju ismani toor per mukamal fit ho aur kisi lailaj bemari main mubtila na ho kioun ke amal hamzad main dimaghi taqat aur tasawar ka qyam hona bohat zaroori hai. Hamzad ko 4 tarkekon se kabu kia jata hai. 1: Aatishi, 2: Aabi, 3: Badi, 4: Khakhi jab ke taqat ke hisab se hamzad ke darjay hain.

1: Pehalay darjay ka hamzad neahyat taqatwar hota hai aur har kisum ke kam karny ke silahiyat rakhta hai.

2: Dosray darjay ka hamzad be taqatwar hota hai laykin kuch kam karnay ke taqat nahi rakhta.

3: Tesray darjay ka hamzad sirf khbarin la ker daita hai aur is ke taqat mehdood hoti hai. 



Islami tareky se taskheer honay wala hamzad sab se ziada taqatwar hota hai aur apnay amel ke har huqam pora krany ke liy tayar rehta hai. Hazad ko ager khalq khuda ke kidmat ke liy taskheer kia jay tu koi nuqsan nai pohchata amel ke har tarh se madad krta hai laykin ager is ne najaiz ya buray kam karway jain tu ye amel ka dushman ban jata hai aur usy khtum ker ke dum laita hai.

Hamzad ko isalami tareky se taskheer kia jay tu hamzad naik kam ker ke kush hota hai laykin ager sifli amel se kabu kia jay tu hamzad naik kamo main amel ke madad nai krta balkay burai ke kam ke kush hota hai. sifle amel se kisi be arwa ko taskheer krnay ke islam hargiz ijazat nai daita.sifle amel krnay wala jadugar aur shytan ka pairo kar hota hai aur is ka anjam dunya main tabahi aur akhirat main zilat aur ruswai ke siwa kuch nai hai. sifle amel krany wala daira-e-isalm se kahrij ho jata hai.

HAMZAD KE HAZRI: Hamzad ko kisi be tarekay se taskheer kia jay. Pehlay pehlay saay ke kinaroon per aik roshni paida hoti dekhai de ge aur ye roshni hilti julti rahay ge. jysy jysy amel ke taqat barhy ge saya mutshakal hota chala jay ga. kabi kabar saya harkat kerta nazar aay ga.is doran ju be drany walay manazir nazar aain un se khofzada nahi hona chahiy in ke koi hakeekat nahi hoti. ye saray manazir farzi aur amel ko amal se rokany ke kosish hoti hai. is doran khawab dekahi dainay  ka silsila shuru ho jata hai ju such ho jatay hain. jab tak hamzad khud ham kalam na ho us se bat nai karni chahiy ager koi chez de tu wo be nai layni chahiy. 

Ager hamzad ka amel shuru ker ke namukamal chor dia jay tu hamzad amel ko boht tang krta hai aur usay darata rehta hai aur amel ke zindgi azab ban jati hai. Hamzad aik rohani taqat hai ju amel ke chungal se nikalnay ke har mumkin kosish karti hai. Ager , dar, khof ke waja se sabar aur istaklal ka daman chor dia jay tu khtra azeem hai. Amal pora honay ke aakshri dino main hamzad amel ke rubru aa jata hai. Hamzad aur amel ke doran amel pora honay ke bad ye guftgu hoti hai,
  • HAMZAD:  Main hazir ho mujay kioun bulaya hai?
  • AMEL: Tumari takheer matloob hai
  • HAMZAD: Mujay takheer ker ke ap ko kia faida ho ga?
  • AMEL: Main tum se apnay kamo main madad lia karon ga
  • HAMZAD: Aj se ap ka ghulam hota hon mari ye shart hai
  • AMEL: Hamzad apni shart batay ga usy pora krna amel per lazim ho ga.
ZAROORI HIDAYAT:
  • Kisi amel kamil ke ijazat  ke bagair amel hagiz na karin warna nuqsan ho ga
  • Amel shuru krany se pehlay amel ke zakat nikalin aur sadka dain
  • Jis shaksh ka hath ya pawon kata ho ya jismani, zehni mareez ho amel na kary
  • Hamil aurat amel hamzad na kary
  • Kamzoor nazar aur dil ke mareez ko amel nai krna chahiy
  • Doran amel aurat ke kareeb na jain
  • Amel ke dino main logon se milna julna kam kar dain
  • Gosht, anda, machli mat khain, roz naha ker ser per oil se malish karin
  • Amel reading ke doran darin nai aur dil ko mazboot rakhin
  • Amel ke doran ju be kayfiat ho kisi se share na karin
  • Apnay ustad  ko sari sorthal ke update dain
  • Hamzad ke zahir honay per us se ahad lain ke bina bulay samany na ay
  • Amel karnay ka waqat aur jagha change na karin
  • Doran amel kuch khanay se pehlay hamzad ka naam le ker thora khana zameen per dal dain aur kahin hamzad ye tum kha lo pir khud khain
AMAL HAMZAD NORI: Nochandi Jumyrat ( Thursday ) se is amel ko shuru karin. Rat 12 bajay chiragh main sarsoon ka oil ya desi gee dal ker passe pusht rakh ker roshan karin. Ap ka saya ap ke saamany dewar per pary. Apna hisar karin aur saay ke face per nazar jama ker 3125 bar  apnay naam ke sath lafaz YA laga ker parin. For Example: ap ka naam Wadood hai tu amel ko doran ( YA WADOODU ) parha jay ga. 21 din ke bad amel ka asar shuru ho jay ga. baz okat saya harkat kerta nazar ay ga auk kuch khof dilany walay wakyat nazar aain gay. amel ko jari rakhin aur reading pori honay ke bad us room main soin. 11 mah ke andar hamzad musakhir ho ker samnay aa jay ga. yad rakhin aik be din nagha ho gia tu amel zaya ho jay ga dobara shuru karin. namukamal amel chornay se nuqsan ho sakta hai. NOTE: Kisi amel kamil se Ijazat liy bagir amel hargiz na karin.

AMAL HAMZAD NORINochandi Jumyrat ( Thursday ) se is amel ko shuru karin. Rat 12 bajay chiragh main sarsoon ka oil roghan chanbayli dal ker passe pusht rakh ker roshan karin. Ap ka saya ap ke saamany dewar per pary. Apna hisar karin aur saay ke face per nazar jama ker 3125 bar ye amel parin.( ALLAH BADISHA HAI, MUHAMMAD HAI WAZEER, ALI KARWAN, DEWAN WAZEER ) 21 din ke bad amel ka asar shuru ho jay ga. baz okat saya harkat kerta nazar ay ga auk kuch khof dilany walay wakyat nazar aain gay. amel ko jari rakhin aur reading pori honay ke bad us room main soin. 6 mah ke andar hamzad musakhir ho ker samnay aa jay ga. yad rakhin aik be din nagha ho gia tu amel zaya ho jay ga dobara shuru karin. namukamal amel chornay se nuqsan ho sakta hai. NOTE: Kisi amel kamil se Ijazat liy bagir amel hargiz na karin.

AMAL HAMZAD NORI: Nochandi Jumyrat ( Thursday ) se is amel ko shuru karin. Rat 12 bajay chiragh main sarsoon ka oil roghan chanbayli dal ker passe pusht rakh ker roshan karin. Ap ka saya ap ke saamany dewar per pary. Apna hisar karin aur saay ke face per nazar jama ker ( SALAMUN QAWLAN MIN RABY RAHEEM ) 2 ganton tak latadad parin. 11 din ke bad amel ka asar shuru ho jay ga. baz okat saya harkat kerta nazar ay ga auk kuch khof dilany walay wakyat nazar aain gay. amel ko jari rakhin aur reading pori honay ke bad us room main soin. 11 mah ke andar hamzad musakhir ho ker samnay aa jay ga. yad rakhin aik be din nagha ho gia tu amel zaya ho jay ga dobara shuru karin. namukamal amel chornay se nuqsan ho sakta hai. NOTE: Kisi amel kamil se Ijazat liy bagir amel hargiz na karin.


No comments:

Post a Comment